Friday, January 11, 2013

You and I

Bohot kuch keh sun jaate hain
us waqt me to rukta nahin thamta nahin
magar phir bhi lagta hai
kuch bhi to kaha nahin suna nahin

Dil ka har zakhm jaise
khud ki daastan sunake thakta nahin
magar phir bhi lagta hai
zakhm taaza hai sukhta nahin

Shayad aap hi ke sun ne me koi marham mile
warna sunte to sab hai magar koi sunta nahin
koshish to lakh karte hain ki aakhir beh jaayen
magar phir bhi aansu behte nahin dard mit ta nahin

No comments: