Tere pyar ne man me vishwas jo jagaya hai, thoda sa dard usko kya todega.. Zara saa tune dil jo dukhaya hai, tera pyar hi tuta dil jodega.. Tere saath hain zindagi ke raste ab, thoda sa toofan unko kya modega.. Rab ke bharose apna pyar sahi, tera bharosa hai tu kabhi saath nahin chodega..
Band kar liye hum ne apne jasbaat dil ki aseem gehraiyon me is quadar Ki dil toot ta jaaye, aaye na shikan chehre pe magar Paththar neer bahaye to Ganga Ji kehlaye Apne aansun hum kahan le jaayen, kaun unko pyar ki ganga manaye..
Aap jo apnapan diya karte hain uska shukriya Rishte me jo pehlapan diya karte hain uska shukriya Bichadna aap se manzoor to nahin magar yaadon me to ghar kiya karte hain uska shukriya..
Bohot kuch keh sun jaate hain us waqt me to rukta nahin thamta nahin magar phir bhi lagta hai kuch bhi to kaha nahin suna nahin Dil ka har zakhm jaise khud ki daastan sunake thakta nahin magar phir bhi lagta hai zakhm taaza hai sukhta nahin Shayad aap hi ke sun ne me koi marham mile warna sunte to sab hai magar koi sunta nahin koshish to lakh karte hain ki aakhir beh jaayen magar phir bhi aansu behte nahin dard mit ta nahin