Sunday, December 30, 2012

Imperfectly Perfect!

A tiny gap
of hope perhap
a restlessness
kindling aggress
a second soul
urging hold
calming me
unseen to see
is life perfect
or halfway met?


Sunday, December 23, 2012

Meri Galat Fahmi..

Tujhko benuks samjha
chaha
sar aankhon pe maana
aasmaan pe bithaya..
chaand bhi wahin tha
bola
yeh kya cheez hai
jab main hi kabhi
benuks na ban paya..

Teri Mohabbat..

Ai mard tune mohabbat ki to zaroor
kabhi meri adaa
kabhi shayad mere man se
aur kabhi mere khubsurat badan se..

Mujhe aurat tune samjha zaroor
magar insaan bhi hoon main
yeh tu gaya kyon bhool
maine woh har kaam kiya
jo tu kar sakta hai
magar kabhi izzat ke mujhko
na tune samjha quabil..

Apne ghar me tan ke tu laya mujhko
magar yeh soch kar ki  kar liya tune haasil mujhko
baraabar apne kabhi na samjha tune mujhko
kaash tu bhi mujhko apna raazdaar maanta
jaan jaata ki tere apne ghar me ek kohinoor tha..


Mohabbat..

Mohabbat us aasmaan se girti pani ki boond ki tarah hai
zameen me samaane ki chaah me jisko maut bhi manzoor hui..

Manzoor Nahin..

Tum mujhe mehaz mehbooba samjho
yeh mujhe manzoor nahin

Ta umr saath nibhane ki baat kahi maine
doston ki mehfil ke liye tum mujhko chod do
yeh mujhe manzoor nahin

Maine tumhare dil ki mehfil ko sajaya hai
mujhko mehaz ghar ki sajawat bana ke rakh do
yeh mujhe manzoor nahin

Maine tumko mehboob, humsafar aur dost bhi mana
tum mujhko mehaz biwi banado 
yeh mujhe manzoor nahin

Maan na hai to tum bhi mujhko sab kuch maano
fakat naam ke liye humsafar kehdo
yeh mujhe manzoor nahin

You and I

Kya tujh pe bhi wohi udaasi chaayi hai
jo teri judaai me mujh me samaayi hai
kya tu bhi ghira hai logo se magar phir bhi tanhayi hai
kya tujh ko bhi lagta hai apni quaid me hi apni rihaayi hai..

You and I


Quiet contemplation and Open expression
Analysis and synthesis
Cerebral and emotional
Reason and Intuition
You and I..

Of diverse conversations
Of varied perspectives
Of agreed disagreements
Of verbal lovemaking
You and I..

Of Intense thought
Of Clarity sought
Of Lessons learnt
Of Lessons taught
You and I..

Of flow
Of understanding
Of experience
Of growth
You and I..

Serious and playful
Careless and careful
Timid and heady
Excitable and steady
You and I..

Mutually perfect
Left foot right foot
Complimenting
Making complete
You and I..

Friday, December 14, 2012

You and I

Pyaar ko zindagi me aane de
is tarah khud ko mehroom na kar
mohabbat tujh ko dete dete
kya pata main bhi kuch paa jaun..

Kuch nahin chaha badle me maine tujhse
is tarah pyaar ke ehsaas se na dar
yaar tujh pe marte marte
kya pata main bhi kuch jee jaun..

Itni mehar kar tu mujh par
is tarah mod na mujh se nazar
tere tufaano se ladte ladte
kya pata main bhi kuch thamee jaun..

Mujh ko bana le apna langar
is tarah behte behte jayega kidhar
tujh ko thehrav dete dete
kya pata main bhi kuch thehartee jaun..






Thursday, December 13, 2012

You and I

Main pyar nahin na sahi aapka
jo na chute woh aadat hi bana lo

Main khuda nahin na sahi aapka
ruh se nikli ibaadat hi bana lo

Haq samjho mujh par wahi
jo khud par haq rakhte ho

Main mallika nahin dil ki na sahi 
mujhko apni riyaasat hi bana lo..

Tuesday, December 11, 2012

You and I


Ah! You and I
Two halves of the same pie
Our bond, our affection
Of near perfection
Of love, understanding and mutual accord
Of no marital vow, no record
No ceremony
And yet
Completely in harmony
Tied
Never to be severed
By an invisible umbilical chord
Passing on to each other
What the other longs
Completing each other
Like an unsolved puzzle
Ah! You and I
Two halves of the same pie

We hold hands
And we look into the eye
And somehow
Time just goes by
Your shy smile
Makes me smile
Myself a little shy
You complete my thought
Just as I complete yours
You are my guide
I look up to you with pride
You are subtle
And I bring up a rustle
You calm my nerves
And I bring you out of your reserves
Ah! You and I
Two halves of the same pie

I wish to die
In your loving arms
Forever glowing
Forever knowing
We were always
A single being
Ah! You and I
Two halves of the same pie

Apne Jeene ka Andaaz!

Bas ek ek pal zindagi ko jeena hai.......jo mile usme khush rehna hai
koi ummeed nahi, na koi intezaar.......waqt ke bahaav me behna hai

Monday, December 10, 2012

You and I


Intezaar hai mujhe, Ki tujhe bhi woh mehsoos ho jo main mehsoos karti hoon
Pyar hai mujhe, Ki  tere liye aaj main apne aap ko mehfoos karti hoon
Nahi hai tujhe, Pyar mujhse is waqt to na sahi
Ummeed hai mujhe, Ki mohabbat hogi tujhe mujhse bhi kabhi
Ja choda tujhe, Ki tu khud hi laut aayega
Yaad karna mujhe, ishq jab tujhe bhi satayega
Tadapna hai mujhe, Agar yehi meri kismet me hai likha
Na aana hai tujhe, to mera pyar bhi tujhe waapas na la payega
Jeena hai mujhe, To main kal bhi jee rahi thi
Jeena hai mujhe, To main kal bhi jeeti jaungi

Paaya agar tujhe, To marne ka mazaa bhi kuch aur hoga
Na paaya agar tujhe , To zindagi saanson ke chalne ka bas daur hoga.

Wednesday, December 05, 2012

You and I

Aise ek shaqs se achanak mile hum
zindagi ke jisne maine badal diye
khud par bharosa gava chuke the hum
Woh aaya aur usne aaine badal diye..

Monday, December 03, 2012

You and I

Hum do kadam saath bhi na chale the
ki manzilon ki fikar sataane lagi tumhe
Tanha tum bhi the aur tanha hum bhi
to kyon kar fikre safar na kiya..