Monday, October 12, 2015

Zindagi

Ab to ashq bhi mana karte hain behne se
lafz bhi mukar gaye kuch kehne se
zindagi khud hi suljhayegi uljhanon ko
kuch nahi badalta gilhe shiqwe karte rehne se..

Chaar Deewarain

Bas hum the aur thi deewarain chaar
Lagta tha koi aa jaa raha hai baar baar
Mud ke dekha to tha koi bhi nahin
Bas hum the aur humari kaampti ruh bhi thi wahin
Hua ehsaas ki Ghar me chahe hon dushman hazaar
Kabhi na hon hum aur khali si woh deewarain chaar...

Monday, September 21, 2015

Aafaaq

Har zarra-e-aafaaq tere saath hoga
bas raasta sahi tu chunta jaa..
Sard raahon ki garm chaadar tu ban jayega
bas qadam sahi to bunta jaa..



Thursday, April 23, 2015

Yaad

Lafzon me yaad jatana zaroori to nahin
roohani intisaab bhi koi cheez hoti hai...

Friday, April 17, 2015

Baat

Baat sirf ek baat ki thi
kuch unki suni
kuch apni kahi
baat us raat ki thi...


Baat sirf ek fariyaad ki thi
na woh mude
na hum jhuke
baat us yaad ki thi...

Wednesday, April 15, 2015

Lamha

Jo lamha gir gaya zindagi ka us raat ke baad
bikhre hue tukdo me mujhko beintehaan tumhara pyaar nazar aaya..

Thursday, April 09, 2015

Shikan

Na aane di humne kabhi apne maathe par shikan dosto,
zamaane se itni shiqayat kabhi hui hi nahin....

Wednesday, April 08, 2015

Zindagi

Zindagi kisi ke liye nahin rukti, bas jeene ki wajah badal jaati hai; 
aur kabhi agar kisi ke liye ruk bhi jaaye, to saanse chalti hain aur zindagi nikal jaati hai.

Alfaaz

Dil jab behne lagta hai to alfaaz bante hain,
dil ka behna mere haath me nahin lekin.

Insaan

Main kisi dharm ke kareeb nahi, na hi kisi ek soch ki mutassir;
main to faqat insaan hoon insaaniat chahti hoon.

Monday, April 06, 2015

Sitaare

Taare kabhi toot te nahin, bas nazron se ojhal ho jaate hain,
kab kaun kis waqt kahan khada hai yeh us par munhasir hai..

Wednesday, March 18, 2015

Lost

Oh how good it feels
to just get lost
in anything
just about everything

It is meditation
in its purest form
a deep feeling
of blending

Just drown
just disappear
not letting in anything

just make it abiding

Feel one
with the other
merging
like a single being

It is not negative
this fusion
its bliss - unending
fulfilling..

Monday, March 16, 2015

Asli Chehra

Itne mukhaute kyon pehne ho logo
jab Chehra khuda ne ek diya hai..
Wafadaari ek se hoti hai
laalach ne kab kisko kya diya hai..

Tuesday, January 13, 2015

Jasbaat

Yeh sirf shero shayari nahin mere dost
mere jeete jaagte jasbaat hain
tum inhe seyahi ki kaalak samjho ya phir boond aansu ki
yeh hum tum pe chodte hain..